KHala
kuchh is tarah ke ḳhalā
mere roz-o-shab meñ hai
jo fāsle se kisī ko nazar nahīñ aate
kuchh is tarah ke tazādāt
mujh meñ yakjā haiñ
jo aql-o-faham ke zer-e-asar nahīñ aate
mire qarīb jo aatā hai ḳhush nahīñ rahtā
maiñ sochtā huuñ
ki tū jitne fāsle par thā
ḳhushī ke mausam-e-gul-rañg meñ vahīñ rahtā
kuchh is tarah ke KHala
mere roz-o-shab mein hai
jo fasle se kisi ko nazar nahin aate
kuchh is tarah ke tazadat
mujh mein yakja hain
jo aql-o-faham ke zer-e-asar nahin aate
mere qarib jo aata hai KHush nahin rahta
main sochta hun
ki tu jitne fasle par tha
KHushi ke mausam-e-gul-rang mein wahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.