Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHala-nawardi

Riyaz Latif

KHala-nawardi

Riyaz Latif

ye kis ne mire jism tārīḳh ulaT dii?

sāñsoñ zamīñ par,

ik khoī huī sā.at-e-mismār ke katbe!

raftār ke

guftār ke

iz.hār ke katbe!

be-ḳhvāb sitāroñ pe jiye rahā huuñ maiñ.

nā-paid samundar ko piye rahā huuñ maiñ

sadiyoñ ke ka.ī rañg jo tahlīl haiñ mujh meñ

jiddat darāḌoñ se Tapakte haiñ abhī tak

nā-paid samundar se chhalakte haiñ abhī tak

be-ḳhvāb sitāroñ meñ chamakte haiñ abhī tak

rūhoñ ke junūñ meñ,

mahdūd sukūñ meñ,

katbe ubhar aa.e haiñ mire ḳhuuñ taḌap se

mujh meñ mire ajdād bhaTakte haiñ abhī tak

ye kis ne mere jism ki tariKH ulaT di?

sanson ki zamin par,

ek khoi hui saat-e-mismar ke katbe!

raftar ke

guftar ke

izhaar ke katbe!

be-KHwab sitaron pe jiye ja raha hun main

na-paid samundar ko piye ja raha hun main

sadiyon ke kai rang jo tahlil hain mujh mein

jiddat ki daraDon se Tapakte hain abhi tak

na-paid samundar se chhalakte hain abhi tak

be-KHwab sitaron mein chamakte hain abhi tak

ruhon ke junun mein,

mahdud sukun mein,

katbe ubhar aae hain mere KHun ki taDap se

mujh mein mere ajdad bhaTakte hain abhi tak

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now