KHala
zindagī meñ kabhī kabhī
ek ḳhalā sā mahsūs hotā hai
jaise shāyad koī kaam hone se rah gayā
yā koī baat kahī nahīñ jā sakī
ek ehsās-e-ziyāñ hotā hai
jo samajh meñ nahīñ aatā
kahīñ duur
dil kī gahrā.iyoñ se
ek āvāz uThtī huī lagtī hai
jo honā chāhiye thā nahīñ huā
jo karnā chāhiye thā nahīñ kiyā
zindagi mein kabhi kabhi
ek KHala sa mahsus hota hai
jaise shayad koi kaam hone se rah gaya
ya koi baat kahi nahin ja saki
ek ehsas-e-ziyan hota hai
jo samajh mein nahin aata
kahin dur
dil ki gahraiyon se
ek aawaz uThti hui lagti hai
jo hona chahiye tha nahin hua
jo karna chahiye tha nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.