KHalish
vo ḳhūb-sūrat laḌkiyāñ
dasht-e-vafā kī hirniyāñ
-shahr-e-shab-e-mahtāb kī
bechain jādū-garniyāñ
jo bādaloñ meñ kho ga.iiñ
nazroñ se ojhal ho ga.iiñ
ab sard kaalī raat ko
āñkhoñ meñ gahrā ġham liye
ashkoñ kī bahtī nahr meñ
gulnār chehre nam kiye
hastī kī sarhad se pare
ḳhvāboñ kī sañgīñ oT se
kahtī haiñ mujh ko bevafā
ham se bichhaḌ kar kyā tujhe
sukh kā ḳhazāna mil gayā
wo KHub-surat laDkiyan
dasht-e-wafa ki hirniyan
-shahr-e-shab-e-mahtab ki
bechain jadu-garniyan
jo baadalon mein kho gain
nazron se ojhal ho gain
ab sard kali raat ko
aankhon mein gahra gham liye
ashkon ki bahti nahr mein
gulnar chehre nam kiye
hasti ki sarhad se pare
KHwabon ki sangin oT se
kahti hain mujh ko bewafa
hum se bichhaD kar kya tujhe
sukh ka KHazana mil gaya
- Book : Saveera (Pg. 341)
- Author : Naziir Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.