KHamir
gulāb kīkar pe kab ugegā
ki ḳhaar donoñ meñ mushtarak hai
meñ kis tarah sochne lagā huuñ
mujhe rafīqoñ pe kitnā shak hai
ye ādmiyat ajiib shai hai
sarisht meñ kaun sā namak hai
ki aag, pānī, havā, ye miTTī
to har bashar kā hai tānā-bānā
kahāñ ġhalat ho gayā murkkab
na ham hī samjhe na tum ne jaanā
ġharīb ke TūTe-phūTe ghar meñ
huā talavvud to shāh-zāda
buland masnad ke ghar piyāda
valī ke ghar meñ harām-zāda
gulab kikar pe kab ugega
ki KHar donon mein mushtarak hai
mein kis tarah sochne laga hun
mujhe rafiqon pe kitna shak hai
ye aadmiyat ajib shai hai
sarisht mein kaun sa namak hai
ki aag, pani, hawa, ye miTTi
to har bashar ka hai tana-bana
kahan ghalat ho gaya murkkab
na hum hi samjhe na tum ne jaana
gharib ke TuTe-phuTe ghar mein
hua talawwud to shah-zada
buland masnad ke ghar piyaada
wali ke ghar mein haram-zada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.