khanDar aaseb aur phul
ye bhī tilism-e-hosh-rubā hai
zinda chalte-phirte hañste rote nafrat aur mohabbat karte insāñ
sirf hayūle aur dhuveñ ke marġhūle haiñ
ham sab apnī apnī lāsheñ apne tavahhum ke kāñdhoñ par laade sust-qadam vāmāñda
ḳhāk-ba-sar dāmān-e-darīda zaḳhmī pairoñ se kāñToñ añgāroñ par chalte rahte haiñ
ham sab ek baḌe qabristāñ ke āvāra bhuut haiñ
jin ke jism to haath lagāne se tahlīl ḳhalā meñ hoñ
jin kī rūhoñ kā zāhir se zāhir gosha haath na aa.e
ham ko maazī se virse meñ kohna qabreñ, girte malbe aur āseb-zada khañDaroñ ke Dher mile haiñ
vo raushan shab-tāb diye jin se maazī ko nuur milā thā
is āseb-zada māhaul meñ yuuñ julte haiñ
jaise ik pur-haul bayābāñ ke tiira sannāTe meñ
kuchh bhūtoñ ne
rah-gum-karda sayyāhoñ ko bhaTkāne kī ḳhātir aag jalā.ī ho
ab ye ujāle sirf dhuāñ haiñ
aur āseb-zada khañDaroñ kī chhat ke chaTaḳhte shahtīroñ ke shor meñ koī hañstā hai
jhaḌtā chūnā girtī miTTī niim muallaq dīvār-o-dar
chupke chupke rote haiñ
tāqoñ ke ḳhāmosh diye zulmat ko baḌhāvā dete haiñ
sehn ke sadhā saal purāne būḌhe peḌ
qabroñ ke bedard mujāvar ban kar lāshoñ par sūkhe pattoñ ke Dher lagā dete haiñ
ham sab apnī apnī lāsheñ apne anā ke dosh pe laade
ik qabristāñ kī pur-haul udāsī se uktā.e hue
ek na.e shamshān kā rasta DhūñD rahe haiñ
muntazir-e-marg-e-amboh hujūm āñkhoñ ke ḳhālī kaase khole har-sū dekh rahā hai
jaane kab koī aa.egā jo apne dāman kī havā se
bhūtoñ kā jalnā dekhegā
aur bhayānak saa.e gale mil mil kar khokhlī āvāzoñ meñ ro.eñge
is manzar meñ jaane phir aisā koī aa.e ki na aa.e
hajv vīrāñ māyūs nigāhoñ kī ḳhālī jholī phailā.e
raakh meñ phuul kuredegā
ye bhi tilism-e-hosh-ruba hai
zinda chalte-phirte hanste rote nafrat aur mohabbat karte insan
sirf hayule aur dhuwen ke marghule hain
hum sab apni apni lashen apne tawahhum ke kandhon par lade sust-qadam wamanda
KHak-ba-sar daman-e-darida zaKHmi pairon se kanTon angaron par chalte rahte hain
hum sab ek baDe qabristan ke aawara bhut hain
jin ke jism to hath lagane se tahlil KHala mein hon
jin ki ruhon ka zahir se zahir gosha hath na aae
hum ko mazi se wirse mein kohna qabren, girte malbe aur aaseb-zada khanDaron ke Dher mile hain
wo raushan shab-tab diye jin se mazi ko nur mila tha
is aaseb-zada mahaul mein yun julte hain
jaise ek pur-haul bayaban ke tera sannaTe mein
kuchh bhuton ne
rah-gum-karda sayyahon ko bhaTkane ki KHatir aag jalai ho
ab ye ujale sirf dhuan hain
aur aaseb-zada khanDaron ki chhat ke chaTaKHte shahtiron ke shor mein koi hansta hai
jhaDta chuna girti miTTi nim muallaq diwar-o-dar
chupke chupke rote hain
taqon ke KHamosh diye zulmat ko baDhawa dete hain
sehn ke sadha sal purane buDhe peD
qabron ke bedard mujawar ban kar lashon par sukhe patton ke Dher laga dete hain
hum sab apni apni lashen apne ana ke dosh pe lade
ek qabristan ki pur-haul udasi se uktae hue
ek nae shamshan ka rasta DhunD rahe hain
muntazir-e-marg-e-amboh hujum aankhon ke KHali kase khole har-su dekh raha hai
jaane kab koi aaega jo apne daman ki hawa se
bhuton ka jalna dekhega
aur bhayanak sae gale mil mil kar khokhli aawazon mein roenge
is manzar mein jaane phir aisa koi aae ki na aae
hajw viran mayus nigahon ki KHali jholi phailae
rakh mein phul kuredega
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 171)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.