khanDar
kaisī ḳhāmoshī hai vīrānī hai sannāTā hai
koī aahaT hai na āvāz na koī dhaḌkan
dil hai yā qabr sulagtī huī tanhā.ī kī
zehan hai yā kisī beva kā akelā āñgan
uḌ gayā rañg har ik soch ke ā.īñe kā
shab ke be-nūr dupaTTe se sitāre TuuTe
jam ga.ī gard ḳhayāloñ kī hasīñ rāhoñ par
muddateñ ho ga.iiñ ummīd kā dāman chhūTe
yak-ba-yak duur bahut duur bahut duur kahīñ
terī pāzeb chhanakne kī sadā aane lagī
shauq ne paañv baḌhā.e usī āvāz kī samt
tujh se milne kī lagan aur bhī taḌpāne lagī
ye khañDar aaj jahāñ raat kī tārīkī meñ
tū ne bhūle hue afsāne ko dohrāyā hai
isī ujḌe hue vīrān khañDar meñ ki jahāñ
kitne din ba.ad tirā saaya nazar aayā hai
isī ujḌe hue vīrān khañDar meñ ham ne
umr bhar saath nibhāne kī qasam khaa.ī thī
isī ujḌe hue vīrān khañDar meñ tere
thartharāte hue hoñToñ pe duā aa.ī thī
rasm koī ho magar ham ko judā kar na sake
ye rivāyāt na pahnā.eñ kabhī zanjīreñ
ham ki is raaz se is baat se nā-vāqif the
ki duāoñ se badaltī hī nahīñ taqdīreñ
lekin ab rasm koī kuchh na kahegī mujh se
ab rivāyāt ko majbūr kiyā hai maiñ ne
ab na rokegā mirī raah zamāna baḌh kar
jo bhī anjām ho ye soch liyā hai maiñ ne
maiñ muqaddar se gale mil ke nahīñ ro saktā
tujh ko paanā mirā maqsad hai tujhe pā.ūñgā
aaj Thukrā ke har ik maslahat-andeshī ko
tere saa.e ke ta.āqub meñ chalā jā.ūñgā
kaisi KHamoshi hai virani hai sannaTa hai
koi aahaT hai na aawaz na koi dhaDkan
dil hai ya qabr sulagti hui tanhai ki
zehan hai ya kisi bewa ka akela aangan
uD gaya rang har ek soch ke aaine ka
shab ke be-nur dupaTTe se sitare TuTe
jam gai gard KHayalon ki hasin rahon par
muddaten ho gain ummid ka daman chhuTe
yak-ba-yak dur bahut dur bahut dur kahin
teri pazeb chhanakne ki sada aane lagi
shauq ne panw baDhae usi aawaz ki samt
tujh se milne ki lagan aur bhi taDpane lagi
ye khanDar aaj jahan raat ki tariki mein
tu ne bhule hue afsane ko dohraya hai
isi ujDe hue viran khanDar mein ki jahan
kitne din baad tera saya nazar aaya hai
isi ujDe hue viran khanDar mein hum ne
umr bhar sath nibhane ki qasam khai thi
isi ujDe hue viran khanDar mein tere
thartharaate hue honTon pe dua aai thi
rasm koi ho magar hum ko juda kar na sake
ye riwayat na pahnaen kabhi zanjiren
hum ki is raaz se is baat se na-waqif the
ki duaon se badalti hi nahin taqdiren
lekin ab rasm koi kuchh na kahegi mujh se
ab riwayat ko majbur kiya hai main ne
ab na rokega meri rah zamana baDh kar
jo bhi anjam ho ye soch liya hai main ne
main muqaddar se gale mil ke nahin ro sakta
tujh ko pana mera maqsad hai tujhe paunga
aaj Thukra ke har ek maslahat-andeshi ko
tere sae ke taaqub mein chala jaunga
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 31)
- Author : Kafeel Aazar Amrohi
- Publication : S. F. Printers Delhi (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.