khanDar
na ye fanā hai na ye baqā hai
miyān būd-o-adam ye kaisā tavīl vaqfa hai
jo navishta hamārī qismat kā ban gayā hai
kanār-e-dariyā kabhī ye bastī thī
lekin ab nestī-o-hastī ke darmiyān ik maqām-e-barzaḳh hai
aisā barzaḳh ki jis meñ sadiyoñ se kāḳh-o-kū bām-o-dar musalsal
shikastagī ḳhastagī ḳharābī meñ ḳhīra-sar haiñ
hudūd-e-hastī se ham nikal kar khañDar bane the
magar khañDar ban ke miT bhī jaate
ki ye ġham-e-zindagī ke rasiyā
hamārī hastī ko apnī yādoñ se mahv kar dete bhuul jaate
na ye ki ham ko tamāsha-gāh-e-jahāñ banāte
hamāre ibrat-kadoñ ko mahfūz kar ke rakhte
na ye ki ābādiyoñ kī ḳhātir
hamārī barbādiyoñ ko tārīḳhī yādgāreñ banā.e rakhte
vo yādgāreñ
jahāñ pe ye log zindagī ke ijāra-dār aa sakeñ to aa.eñ
dinoñ ko rāhoñ kī ḳhaak uḌā.īñ
vo bārgāheñ jo arsh-pāya thiiñ adab-o-ādāb-e-ḳhusravī meñ
vahāñ ye darāz khisakte jaa.eñ
jahāñ bhī jī chāhe apnā naam aur sher likkheñ
machā.eñ ġhauġhā raqīq be-ma.anī giit gaa.eñ
magar na auqāt-e-panj-gāna meñ
ek bhī vaqt suunī masjid meñ jhāñk paa.eñ
kisī kī turbat pe fātiha ke liye na ye apne haath uThā.eñ
dinoñ ko yūñhī fasurda rāhoñ kī ḳhaak uḌā.īñ
diye jale par gharoñ ko jaa.eñ
hamārī vīrāniyoñ ko vīrān-tar banā kar chale hī jaa.eñ
yahāñ pe chhā jaa.e andhī añdhiyāriyoñ kā phir vo sukūt-e-jāmid
ki yaum-o-sipar hī jis ke ham-rāz-o-ham-nafas haiñ
na din kī vahshat meñ kuchh kamī thī
ki shab kī dahshat meñ kuchh kasar ho
hamāre din-rāt ek se haiñ
hamāre din-rāt usī vajūd-o-adam ke ik vaqfa-e-musalsal meñ
hastī-o-nīstī ke barzaḳh meñ pā-ba-gul haiñ
hamāre din-rāt isī darā-e-zamān vaqfe se muttasil haiñ
magar hameñ kab milegī is daam se rihā.ī
hameñ milegā adam kī mādūm-o-be-nishāñ god kā sukūn-e-abad ḳhudāyā
hameñ azal aur abad ke chakkar se kab atā hogī rustagārī
ḳhudā-e-qayyūm-o-hayye-o-qā.em
janāb baarī
na ye fana hai na ye baqa hai
miyan bud-o-adam ye kaisa tawil waqfa hai
jo nawishta hamari qismat ka ban gaya hai
kanar-e-dariya kabhi ye basti thi
lekin ab nesti-o-hasti ke darmiyan ek maqam-e-barzaKH hai
aisa barzaKH ki jis mein sadiyon se kaKH-o-ku baam-o-dar musalsal
shikastagi KHastagi KHarabi mein KHira-sar hain
hudud-e-hasti se hum nikal kar khanDar bane the
magar khanDar ban ke miT bhi jate
ki ye gham-e-zindagi ke rasiya
hamari hasti ko apni yaadon se mahw kar dete bhul jate
na ye ki hum ko tamasha-gah-e-jahan banate
hamare ibrat-kadon ko mahfuz kar ke rakhte
na ye ki aabaadiyon ki KHatir
hamari barbaadiyon ko tariKHi yaadgaren banae rakhte
wo yaadgaren
jahan pe ye log zindagi ke ijara-dar aa saken to aaen
dinon ko rahon ki KHak uDain
wo bargahen jo arsh-paya thin adab-o-adab-e-KHusrawi mein
wahan ye daraaz khisakte jaen
jahan bhi ji chahe apna nam aur sher likkhen
machaen ghaugha raqiq be-mani git gaen
magar na auqat-e-panj-gana mein
ek bhi waqt suni masjid mein jhank paen
kisi ki turbat pe fatiha ke liye na ye apne hath uThaen
dinon ko yunhi fasurda rahon ki KHak uDain
diye jale par gharon ko jaen
hamari viraniyon ko viran-tar bana kar chale hi jaen
yahan pe chha jae andhi andhiyariyon ka phir wo sukut-e-jamid
ki yaum-o-sipar hi jis ke ham-raaz-o-ham-nafas hain
na din ki wahshat mein kuchh kami thi
ki shab ki dahshat mein kuchh kasar ho
hamare din-raat ek se hain
hamare din-raat usi wajud-o-adam ke ek waqfa-e-musalsal mein
hasti-o-nisti ke barzaKH mein pa-ba-gul hain
hamare din-raat isi dara-e-zaman waqfe se muttasil hain
magar hamein kab milegi is dam se rihai
hamein milega adam ki madum-o-be-nishan god ka sukun-e-abad KHudaya
hamein azal aur abad ke chakkar se kab ata hogi rustagari
KHuda-e-qayyum-o-hayye-o-qaem
janab bari
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 94)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.