khanDar
isī udaas khañDar ke udaas Tiile par
jahāñ paḌe haiñ nukīle se surma.ī kañkar
jahāñ kī ḳhaak pe shabnam ke haar bikhre haiñ
shafaq kī narm kiran jis pe jhilmilātī hai
shikasta īñToñ pe makḌī ke jaal haiñ jis jā
yahīñ pe dil ko na.e dard se do-chār kiyā
kisī ke paañv kī aahaT kā intizār kiyā
isī udaas khañDar ke udaas Tiile par
ye nahr jis meñ kabhī lahr bhī uThī hogī
jo aaj dīda-e-be-āb-o-nūr hai goyā
jise hubāb ke rañgīn qumqume na mile
bajā.e mauj jahāñ saañp raqs karte the
yahīñ nigāh-e-tamannā ko ashk-bār kiyā
kisī ke paañv kī aahaT kā intizār kiyā
isī udaas khañDar ke udaas Tiile par
muhīb-e-ġhār ke kone pe ye jhukā sā daraḳht
fazā meñ laTkī huī khokhlī jaḌeñ jis kī
ye Tahniyāñ jo havāoñ meñ thartharātī haiñ
batā rahī haiñ ki maazī kī yādgār haiñ ham
unhīñ kī chhāñv meñ shām-e-junūñ se pyaar kiyā
kisī ke paañv kī aahaT kā intizār kiyā
isī udaas khañDar ke udaas Tiile par
isi udas khanDar ke udas Tile par
jahan paDe hain nukile se surmai kankar
jahan ki KHak pe shabnam ke haar bikhre hain
shafaq ki narm kiran jis pe jhilmilati hai
shikasta inTon pe makDi ke jal hain jis ja
yahin pe dil ko nae dard se do-chaar kiya
kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya
isi udas khanDar ke udas Tile par
ye nahr jis mein kabhi lahr bhi uThi hogi
jo aaj dida-e-be-ab-o-nur hai goya
jise hubab ke rangin qumqume na mile
bajae mauj jahan sanp raqs karte the
yahin nigah-e-tamanna ko ashk-bar kiya
kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya
isi udas khanDar ke udas Tile par
muhib-e-ghaar ke kone pe ye jhuka sa daraKHt
faza mein laTki hui khokhli jaDen jis ki
ye Tahniyan jo hawaon mein thartharaati hain
bata rahi hain ki mazi ki yaadgar hain hum
unhin ki chhanw mein sham-e-junun se pyar kiya
kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya
isi udas khanDar ke udas Tile par
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.