KHanjar talash karta hai
bashar rumūz-e-muqaddar talāsh kartā hai
qazā-o-qadr kā mehvar talāsh kartā hai
faqīh-e-shahr sanam-ḳhāna-e-siyāsat meñ
sirāt-e-dīn kā rahbar talāsh kartā hai
ḳhudā ko chhoḌ ke jamhūr kā havas-pesha
sukūn-e-qalb falak par talāsh kartā hai
mazāq-e-adl se begāna hai magar insān
fasād-ḳhāna meñ yāvar talāsh kartā hai
pa.e najāt vatan meñ ba-faiz-e-āzādī
sharīf aadmī ḳhanjar talāsh kartā hai
fazā-e-dahr meñ taḳhrīb kā alam-bardār
hayāt-sāz payambar talāsh kartā hai
tarāshtā hai barāhīm-e-asr sad-asnām
charāġh-e-tūr par aazar talāsh kartā hai
barahna zulmat-e-tahzīb meñ tan-e-maryam
masīh-e-vaqt kī chādar talāsh kartā hai
sanam-kade meñ tafalsuf ke tīra-dil vaa.iz
uvais-o-ḳhālid-o-bū-zar talāsh kartā hai
ilaaj ḳhātir-e-millat kā pāsbān-e-haram
la.īn-e-vaqt ke dar par talāsh kartā hai
ḳhulūs-e-dīn ko ba.ad-az-ḳharābi-e-bisyār
zamāna aaj mukarrar talāsh kartā hai
tan-e-shuyūḳh ba-zāhir galīm-posh sahī
zamīr shāhid-o-sāġhar talāsh kartā hai
duā asīrī kī kartā hai sāhab-e-qur.āñ
mafar ġhulāmī se kāfar talāsh kartā hai
mazāq-e-faqr hai rahmat asar zamāne meñ
azāb-e-kunz tavañgar talāsh kartā hai
jahān-e-shor meñ paiham yazīd kā lashkar
husain-e-asr ko ghar ghar talāsh kartā hai
sañvar to saktī hai millat kī nāsehā taqdīr
lahū zamāne kā tevar talāsh kartā hai
miyān-e-bahr sadaf meñ guhar to hai lekin
ḳhatar-pasand shanāvar talāsh kartā hai
zamāna batn-e-jahannam meñ ek muddat se
nishāt-o-kaif barābar talāsh kartā hai
gunāhgār hai 'bebāk' be-navā lekin
nabī kā gumbad-e-aḳhzar talāsh kartā hai
bashar rumuz-e-muqaddar talash karta hai
qaza-o-qadr ka mehwar talash karta hai
faqih-e-shahr sanam-KHana-e-siyasat mein
siraat-e-din ka rahbar talash karta hai
KHuda ko chhoD ke jamhur ka hawas-pesha
sukun-e-qalb falak par talash karta hai
mazaq-e-adl se begana hai magar insan
fasad-KHana mein yawar talash karta hai
pae najat watan mein ba-faiz-e-azadi
sharif aadmi KHanjar talash karta hai
faza-e-dahr mein taKHrib ka alam-bardar
hayat-saz payambar talash karta hai
tarashta hai barahim-e-asr sad-asnam
charagh-e-tur par aazar talash karta hai
barahna zulmat-e-tahzib mein tan-e-maryam
masih-e-waqt ki chadar talash karta hai
sanam-kade mein tafalsuf ke tira-dil waiz
uwais-o-KHalid-o-bu-zar talash karta hai
ilaj KHatir-e-millat ka pasban-e-haram
lain-e-waqt ke dar par talash karta hai
KHulus-e-din ko baad-az-KHarabi-e-bisyar
zamana aaj mukarrar talash karta hai
tan-e-shuyuKH ba-zahir galim-posh sahi
zamir shahid-o-saghar talash karta hai
dua asiri ki karta hai sahab-e-quran
mafar ghulami se kafar talash karta hai
mazaq-e-faqr hai rahmat asar zamane mein
azab-e-kunz tawangar talash karta hai
jahan-e-shor mein paiham yazid ka lashkar
husain-e-asr ko ghar ghar talash karta hai
sanwar to sakti hai millat ki naseha taqdir
lahu zamane ka tewar talash karta hai
miyan-e-bahr sadaf mein guhar to hai lekin
KHatar-pasand shanawar talash karta hai
zamana batn-e-jahannam mein ek muddat se
nishat-o-kaif barabar talash karta hai
gunahgar hai 'bebak' be-nawa lekin
nabi ka gumbad-e-aKHzar talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.