KHargoshon ki ghazal
koī shikārī baar baar ban meñ hamāre aa.e kyoñ
chaukeñge ham hazār baar koī hameñ Darā.e kyoñ
ghar nahīñ jhoñpaḌī nahīñ kuTiyā nahīñ makāñ nahīñ
baiThe haiñ jañgaloñ meñ ham koī hameñ bhagā.e kyoñ
kaan khaḌe na kyoñ kareñ ghaas meñ kyoñ na ham chhupeñ
khaTkā zarā bhī ho agar koī ThiThuk na jaa.e kyoñ
ban meñ hamāre jo bhī aa.e sair maze se vo kare
aa.e hazār baar ḳhud kuttoñ ko saath laa.e kyoñ
ammī se maar khā ke bhī ḳhush koī kis tarah rahe
paanī maze se kyoñ piye ghaas maze se khaa.e kyoñ
kahtā thā ik shikārī ye ā.eñge ham zarūr yaañ
jis ko ho apnī jaañ aziiz ban meñ vo ghar banā.e kyoñ
chiḌiyāñ na chahchahā.eñ kal so.eñ ham dopahar tak
band hai ban kā madrasa koī hameñ jagā.e kyoñ
koi shikari bar bar ban mein hamare aae kyon
chaukenge hum hazar bar koi hamein Darae kyon
ghar nahin jhonpaDi nahin kuTiya nahin makan nahin
baiThe hain jangalon mein hum koi hamein bhagae kyon
kan khaDe na kyon karen ghas mein kyon na hum chhupen
khaTka zara bhi ho agar koi ThiThuk na jae kyon
ban mein hamare jo bhi aae sair maze se wo kare
aae hazar bar KHud kutton ko sath lae kyon
ammi se mar kha ke bhi KHush koi kis tarah rahe
pani maze se kyon piye ghas maze se khae kyon
kahta tha ek shikari ye aaenge hum zarur yan
jis ko ho apni jaan aziz ban mein wo ghar banae kyon
chiDiyan na chahchahaen kal soen hum dopahar tak
band hai ban ka madrasa koi hamein jagae kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.