KHarid-o-faroKHt
Interesting Fact
(پیرس، 26 مارچ 86)
unheñ bechnā to zarūrī hai
bāzār ke moḌ par
vaqfa vaqfa sadā
kīmiyā mil gayā kīmiyā mil gayā
vaqfa vaqfa sadā
un sadāoñ kā āhañg
masjid shivāla
sahīfe
sahīfoñ kā āhañg
naġhmāt
naġhmoñ kā āhañg
naġhmāt
naġhmoñ kā āhañg
tabl-o-alam
fauj āhañg par march kartī huī
unheñ bechnā to zarūrī hai varna
ḳhayālāt nargis-zada
apne māhaul ke ġhaar meñ be-navā hī raheñge
unheñ bechnā to zarūrī hai varna
kisī kīmiyā-gar kī taqlīd kā zahar piinā paḌegā
hameñ to ḳharīdār ban ke hī jiinā paḌegā
unhen bechna to zaruri hai
bazar ke moD par
waqfa waqfa sada
kimiya mil gaya kimiya mil gaya
waqfa waqfa sada
un sadaon ka aahang
masjid shiwala
sahife
sahifon ka aahang
naghmat
naghmon ka aahang
naghmat
naghmon ka aahang
tabl-o-alam
fauj aahang par march karti hui
unhen bechna to zaruri hai warna
KHayalat nargis-zada
apne mahaul ke ghaar mein be-nawa hi rahenge
unhen bechna to zaruri hai warna
kisi kimiya-gar ki taqlid ka zahar pina paDega
hamein to KHaridar ban ke hi jina paDega
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 86)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.