KHat
vaqt jo tum ko kabhī mile to
ḳhat kā mere javāb likhnā
salām duā tum likho na chāhe
haal kaisā hai yaar likhnā
likhnā ki fursatoñ meñ kabhī
yaad merī to aa.ī hogī
mujhe batānā ki pahlī bārish meñ
bhīge the jo saath ham tum
kyā vo lamhe sā.ateñ
mahfūz haiñ nigāhoñ meñ
agar haañ
to samjho
tum merī zaat se munsalik ho
aur maiñ tumhārī ruuh se vābasta huuñ
waqt jo tum ko kabhi mile to
KHat ka mere jawab likhna
salam dua tum likho na chahe
haal kaisa hai yar likhna
likhna ki fursaton mein kabhi
yaad meri to aai hogi
mujhe batana ki pahli barish mein
bhige the jo sath hum tum
kya wo lamhe saaten
mahfuz hain nigahon mein
agar han
to samjho
tum meri zat se munsalik ho
aur main tumhaari ruh se wabasta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.