KHat
shahr ḳhat likhtā hai
sab se pahle tārīḳh
yaanī jis din ḳhat likhā gayā
jagah yaanī jahāñ se ḳhat likhā gayā
aur phir vaqt
jis vaqt shahr ne ye ḳhat likhnā shurūa kiyā
shāyad vo ro rahā thā
niilī raushnā.ī se likhe ga.e lafz
jagah jagah se phail ga.e haiñ
aur kāġhaz itnā ḳhasta hai ki agar ḳhat ziyāda der Daak meñ rahtā to shāyad
lifāfe ke andar hī kaT phaT jaatā
ḳhat likhne ke daurān hī
shahr ke siine par
Dher saarī goliyāñ dāġhī ga.iiñ
shahr kī āñkhoñ meñ
raakh aur bārūd ke zarre
bhare ga.e
shahr ko der tak dhuup meñ baiThnā paḌā
aur is se bhī ziyāda der
añdheroñ meñ rahnā paḌā
shahr sub.h se dopahar tak
dīvār ke saath lagā
khaḌā rahā
aur Dar ke maare
bahut sī bāteñ likhte likhte rah gayā
shahr vo bāteñ bhūlā nahīñ
us ne likhā hai vo apnī Diary meñ
sab kuchh note kar rahā hai
us ne likhā hai log is Diary ko
churāne kī koshish kar rahe haiñ
us ne likhā vo apnī Diary ek din
shahr na jaane kyā likhnā chāhtā thā
aur likh nahīñ sakā
tiin chauthā.ī ḳhat likhne ke ba.ad
shahr kā kāġhaz shahr kī niilī raushnā.ī
shahr kī siyāhī shahr ke lafz
sab kuchh ḳhatm ho kar rah gayā
shahr us ḳhat ke shurūa meñ
us shaḳhs kā naam likhnā bhuul gayā
jise vo ḳhat likhnā chaah rahā thā
aur ḳhat ḳhatm karne ke ba.ad
yā shāyad is se pahle hī
shahr apnā naam bhī bhuul chukā thā
shahr KHat likhta hai
sab se pahle tariKH
yani jis din KHat likha gaya
jagah yani jahan se KHat likha gaya
aur phir waqt
jis waqt shahr ne ye KHat likhna shurua kiya
shayad wo ro raha tha
nili raushnai se likhe gae lafz
jagah jagah se phail gae hain
aur kaghaz itna KHasta hai ki agar KHat ziyaada der Dak mein rahta to shayad
lifafe ke andar hi kaT phaT jata
KHat likhne ke dauran hi
shahr ke sine par
Dher sari goliyan daghi gain
shahr ki aankhon mein
rakh aur barud ke zarre
bhare gae
shahr ko der tak dhup mein baiThna paDa
aur is se bhi ziyaada der
andheron mein rahna paDa
shahr subh se dopahar tak
diwar ke sath laga
khaDa raha
aur Dar ke mare
bahut si baaten likhte likhte rah gaya
shahr wo baaten bhula nahin
us ne likha hai wo apni Diary mein
sab kuchh note kar raha hai
us ne likha hai log is Diary ko
churane ki koshish kar rahe hain
us ne likha wo apni Diary ek din
shahr na jaane kya likhna chahta tha
aur likh nahin saka
tin chauthai KHat likhne ke baad
shahr ka kaghaz shahr ki nili raushnai
shahr ki siyahi shahr ke lafz
sab kuchh KHatm ho kar rah gaya
shahr us KHat ke shurua mein
us shaKHs ka nam likhna bhul gaya
jise wo KHat likhna chah raha tha
aur KHat KHatm karne ke baad
ya shayad is se pahle hi
shahr apna nam bhi bhul chuka tha
- Book : saarii nazmen (Pg. 342)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.