KHatib-e-azam (sayyad ata-ullah-buKhaari)
ḳhatīb-e-āzam arab kā naġhma ajam kī lai meñ sunā rahā hai
sar-e-chaman chahchahā rahā hai sar-e-viġhā muskurā rahā hai
hadīs-e-sarv-o-saman nichhāvar zabān-e-shamshīr is pe qurbāñ
musailama aise ja.al-sāzoñ kī beḳh o buniyād Dhā rahā hai
qurūn-e-ūla kī razm-gāhoñ se murtazā kā jalāl le kar
dabīz nīndeñ jhiñjhoḌtā hai mujāhidoñ ko jagā rahā hai
haiñ us kī lalkār se hirāsāñ mohammad-e-mustafā ke bāġhī
vafā ke jhanDe gaḌe hue haiñ ġhanīm par dandanā rahā hai
maiñ us ke chehre kī muskurāhaT se aisā mahsūs kar rahā huuñ
ki jaise kausar pe shaam hote koī diyā jhilmilā rahā hai
vo mard darvesh jis ko haq ne diye haiñ andāz-e-ḳhusravāna
usī kī sūrat ko tak rahā hai safar se lauTā huā zamāna
KHatib-e-azam arab ka naghma ajam ki lai mein suna raha hai
sar-e-chaman chahchaha raha hai sar-e-wigha muskura raha hai
hadis-e-sarw-o-saman nichhawar zaban-e-shamshir is pe qurban
musailama aise jal-sazon ki beKH o buniyaad Dha raha hai
qurun-e-ula ki razm-gahon se murtaza ka jalal le kar
dabiz ninden jhinjhoDta hai mujahidon ko jaga raha hai
hain us ki lalkar se hirasan mohammad-e-mustafa ke baghi
wafa ke jhanDe gaDe hue hain ghanim par dandana raha hai
main us ke chehre ki muskurahaT se aisa mahsus kar raha hun
ki jaise kausar pe sham hote koi diya jhilmila raha hai
wo mard darwesh jis ko haq ne diye hain andaz-e-KHusrawana
usi ki surat ko tak raha hai safar se lauTa hua zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.