KHauf
chilchilātī huī sunsān dopahar meñ chiil kī āvāz
na.e kaThin imtihānoñ se guzarne kā dhaḌkā
mohabbat meñ Thukrā.e jaane kā ḳhayāl
ḳhauf ne aadmī ko har taraf se gherā huā hai
lekin
ḳhauf
agar baḌhte hue qadmoñ ko roktā hai
to kuchh kar guzarne kī dāvat bhī detā hai
har ḳhauf ek jaisā nahīñ hotā
ḳhauf
qabristān meñ bhī hotā hai
aur jang ke maidān meñ bhī
chilchilati hui sunsan dopahar mein chil ki aawaz
nae kaThin imtihanon se guzarne ka dhaDka
mohabbat mein Thukrae jaane ka KHayal
KHauf ne aadmi ko har taraf se ghera hua hai
lekin
KHauf
agar baDhte hue qadmon ko rokta hai
to kuchh kar guzarne ki dawat bhi deta hai
har KHauf ek jaisa nahin hota
KHauf
qabristan mein bhi hota hai
aur jang ke maidan mein bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.