KHauf-e-sahra
kyā huā shauq-e-fuzūl
kyā huī jur.at-e-rindāna mirī
mujh pe kyuuñ hañstī hai tāmīr-e-sanam-ḳhāna mirī
phir koī bād-e-junūñ tez kare
āgahī hai ki charāġhoñ ko jalātī hī chalī jaatī hai
duur tak ḳhauf kā sahrā nazar aatā hai mujhe
aur ab sochtā huuñ fikr kī is manzil meñ
ishq kyuuñ aql kī dīvār se sar Takrā kar
apne māthe se lahū poñchh ke hañs paḌtā hai
kya hua shauq-e-fuzul
kya hui jurat-e-rindana meri
mujh pe kyun hansti hai tamir-e-sanam-KHana meri
phir koi baad-e-junun tez kare
aagahi hai ki charaghon ko jalati hi chali jati hai
dur tak KHauf ka sahra nazar aata hai mujhe
aur ab sochta hun fikr ki is manzil mein
ishq kyun aql ki diwar se sar Takra kar
apne mathe se lahu ponchh ke hans paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.