KHauf
ham
apne vajūd kī gahrā.iyoñ meñ samo.e hue
tishnagī kā karb
azal se zinda haiñ
be-nām sī tishnagī rūh-o-jāñ kī
hameñ qatra-qatra piye jā rahī hai
mire vajūd se lipTā huā
mub.ham sā ḳhauf
lamha lamha mujhe Das rahā hai
aur
ek be-kaif ehsās kī nīlāhaT
mirī rag-o-pai meñ
sarāyat kartī jā rahī hai
hum
apne wajud ki gahraiyon mein samoe hue
tishnagi ka karb
azal se zinda hain
be-nam si tishnagi ruh-o-jaan ki
hamein qatra-qatra piye ja rahi hai
mere wajud se lipTa hua
mubham sa KHauf
lamha lamha mujhe Das raha hai
aur
ek be-kaif ehsas ki nilahaT
meri rag-o-pai mein
sarayat karti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.