KHauf nama
naaf kaTtī hai zaḳhm jaltā hai
ḳhauf dhaḌkan ke saath chaltā hai
har rag-e-jāñ meñ sarsarātā hai
saañs ke saath aatā jaatā hai
khaal ko chhāl se milātī hai
sansanī rauñgTe banātī hai
tāq-e-jāñ meñ charāġh rakhtā hai
ḳhauf-e-vahshat kā tel chakhtā hai
sajda-e-ġham meñ gir gayā zāhid
sarsarātī jabīñ meñ ḳhauf liye
ho gayā añgbīn se namkīn
zā.iqa āstīñ meñ ḳhauf liye
saañp lashkar ke saath chaltā hai
memana maysara meñ ḳhauf liye
husn ġhamze ke dam se qaa.em hai
apnī har har adā meñ ḳhauf liye
zindagī ek farsh hai jis par
Dar uThā.eñ to haul bichhtā hai
shāhrāh-e-hayat ke uupar
ḳhauf kā tārkol bichhtā hai
maz.hab ījād kartā rahtā hai
mābad ābād kartā rahtā hai
ye to andar kī sañg saarī hai
ḳhauf barbād kartā rahtā hai
fahm o dānish ke zard saudāgar
vasvasoñ kī kapās bechte haiñ
ruuh kī market un kī hai
jo aqīde hirās bechte haiñ
zindagī ham-safar hai lekin ḳhauf
rāste meñ utaar detā hai
parcha-e-jāñ ke har shumāre meñ
vāhima ishtihār detā hai
maut ḳhud mārtī nahīñ jitnā
maut kā ḳhauf maar detā hai
naf kaTti hai zaKHm jalta hai
KHauf dhaDkan ke sath chalta hai
har rag-e-jaan mein sarsaraata hai
sans ke sath aata jata hai
khaal ko chhaal se milati hai
sansani raungTe banati hai
taq-e-jaan mein charagh rakhta hai
KHauf-e-wahshat ka tel chakhta hai
sajda-e-gham mein gir gaya zahid
sarsaraati jabin mein KHauf liye
ho gaya angbin se namkin
zaiqa aastin mein KHauf liye
sanp lashkar ke sath chalta hai
memana maysara mein KHauf liye
husn ghamze ke dam se qaem hai
apni har har ada mein KHauf liye
zindagi ek farsh hai jis par
Dar uThaen to haul bichhta hai
shahrah-e-hayat ke upar
KHauf ka tarkol bichhta hai
mazhab ijad karta rahta hai
mabad aabaad karta rahta hai
ye to andar ki sang sari hai
KHauf barbaad karta rahta hai
fahm o danish ke zard saudagar
waswason ki kapas bechte hain
ruh ki market un ki hai
jo aqide hiras bechte hain
zindagi ham-safar hai lekin KHauf
raste mein utar deta hai
parcha-e-jaan ke har shumare mein
wahima ishtihaar deta hai
maut KHud marti nahin jitna
maut ka KHauf mar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.