KHayal
bachpan meñ māñ-bāp kā saaya
javānī tanhā tanhā
aaj ḳhayāl ke galiyāre se
kis vaadī meñ pahuñchā huuñ
jahāñ mujhe aisā lagtā hai
tanhā.ī sannāTā ban kar
merā pīchhā kartī hai
shāyad koī yaad kā saaya
ik monis ik sāthī hai
kabhī kabhī
aisā lagtā hai
ye gulnār jīvan merā
aise moḌ pe chhoḌegā
jahāñ na koī sāthī hogā
aur na koī monis
bas merī tanhā.ī hogī
biite dinoñ kī yādeñ hoñgī
aise ḳhayālāt satāte haiñ
jab jab maiñ tanhā hotā huuñ
bachpan mein man-bap ka saya
jawani tanha tanha
aaj KHayal ke galiyare se
kis wadi mein pahuncha hun
jahan mujhe aisa lagta hai
tanhai sannaTa ban kar
mera pichha karti hai
shayad koi yaad ka saya
ek monis ek sathi hai
kabhi kabhi
aisa lagta hai
ye gulnar jiwan mera
aise moD pe chhoDega
jahan na koi sathi hoga
aur na koi monis
bas meri tanhai hogi
bite dinon ki yaaden hongi
aise KHayalat satate hain
jab jab main tanha hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.