KHayal-e-abru
ḳhayāl-e-ābrū
ab kyā ḳhayāl-e-ābrū
bhiiḌ meñ aan baiThe
ab kyā savāl-e-dīd aur kaisā hijāb
bas janāb
jaatī havā se kis liye sar kī ridā bachā.iye
dekhiye muskurā.ī hai
ek nigāh-e-ishtiyāq
hosh meñ aa.iye huzūr
aap bhī muskurā.iye
dekh ke yaañ barahna-sar
kaun hai jo malūl ho
haif hai ab bhī sher kī
daad na gar vasūl ho
chhoḌ bhī dījiye 'abīr'
kaahe kī parda-dāriyāñ
shahar se uTh ga.iiñ huzūr
pahlī sī vaz.a-dāriyāñ
aap bhī to badal ga.iiñ
jī ma.azarat qubūl ho
koī na saath ro.egā
kyoñ sar-e-ām roiye
sher kī aabrū ga.ī
kyoñ na mudām roiye
achchhī lagī tamāsh-gāh
dekhiye ḳhat uThā.iye
roiye
ro.e jā.iye
ab kyā ḳhayāl-e-ābrū
bhiiḌ meñ aan baiThiye
KHayal-e-abru
ab kya KHayal-e-abru
bhiD mein aan baiThe
ab kya sawal-e-did aur kaisa hijab
bas janab
jati hawa se kis liye sar ki rida bachaiye
dekhiye muskurai hai
ek nigah-e-ishtiyaq
hosh mein aaiye huzur
aap bhi muskuraiye
dekh ke yan barahna-sar
kaun hai jo malul ho
haif hai ab bhi sher ki
dad na gar wasul ho
chhoD bhi dijiye 'abir'
kahe ki parda-dariyan
shahar se uTh gain huzur
pahli si waza-dariyan
aap bhi to badal gain
ji mazarat qubul ho
koi na sath roega
kyon sar-e-am roiye
sher ki aabru gai
kyon na mudam roiye
achchhi lagi tamash-gah
dekhiye KHat uThaiye
roiye
roe jaiye
ab kya KHayal-e-abru
bhiD mein aan baiThiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.