khel jari rahe
be-jhijak, be-ḳhatar
be-dhaḌak vaar kar
merī gardan uḌā
aur ḳhuuñ se mire kāmyābī ke apnī na.e jaam bhar
chhīn le husn-o-ḳhūbī, anaa, dilkashī
mere lafzoñ meñ lipTā huā māl-o-zar
merī poroñ se bahtī huī raushnī
mere māthe pe likkhe hue sab hunar
tujh se shikva nahīñ
ai adū mere maiñ terī hamdard huuñ
terī be-chehragī mujh ko bhātī nahīñ
tujh se kaise kahūñ!!!
tujh se kaise kahūñ! qatl karnā mujhe tere bas meñ nahīñ
(aur ho bhī agar, terī kam-mā.egī mā mudāvā nahīñ)
haañ magar terī dil-jūī ke vāste
merī gardan pe yuuñ terā ḳhanjar rahe
(terī dānist meñ)
khel jaarī rahe
be-jhijak, be-KHatar
be-dhaDak war kar
meri gardan uDa
aur KHun se mere kaamyabi ke apni nae jam bhar
chhin le husn-o-KHubi, ana, dilkashi
mere lafzon mein lipTa hua mal-o-zar
meri poron se bahti hui raushni
mere mathe pe likkhe hue sab hunar
tujh se shikwa nahin
ai adu mere main teri hamdard hun
teri be-chehragi mujh ko bhati nahin
tujh se kaise kahun!!!
tujh se kaise kahun! qatl karna mujhe tere bas mein nahin
(aur ho bhi agar, teri kam-maegi ma mudawa nahin)
han magar teri dil-jui ke waste
meri gardan pe yun tera KHanjar rahe
(teri danist mein)
khel jari rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.