Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khel

Nida Fazli

khel

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    aao

    kahīñ se thoḌī miTTī bhar laa.eñ

    miTTī ko bādal meñ guñdheñ

    na.e na.e ākār banā.eñ

    kisī ke sar pe chuTiyā rakh deñ

    māthe uupar tilak sajā.eñ

    kisī ke chhoTe se chehre par

    moTī dāḌhī phailā.eñ

    kuchh din in se bahlā.eñ

    aur ye jab maile ho jaa.eñ

    dāḌhī choTī tilak sabhī ko

    toḌ-phoḌ ke gaD-maD kar deñ

    milī-julī ye miTTī phir se

    alag alag sāñchoñ meñ bhar deñ

    na.e na.e ākār banā.eñ

    dāḌhī meñ choTī lahrā.e

    choTī meñ dāḌhī chhup jaa.e

    kis meñ kitnā kaun chhapā hai

    kaun batā.e

    aao

    kahin se thoDi si miTTi bhar laen

    miTTi ko baadal mein gundhen

    nae nae aakar banaen

    kisi ke sar pe chuTiya rakh den

    mathe upar tilak sajaen

    kisi ke chhoTe se chehre par

    moTi si daDhi phailaen

    kuchh din in se ji bahlaen

    aur ye jab maile ho jaen

    daDhi choTi tilak sabhi ko

    toD-phoD ke gaD-maD kar den

    mili-juli ye miTTi phir se

    alag alag sanchon mein bhar den

    nae nae aakar banaen

    daDhi mein choTi lahrae

    choTi mein daDhi chhup jae

    kis mein kitna kaun chhapa hai

    kaun batae

    Source :
    • Book : Shaher Men Gaon (Pg. 213)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now