khel ruton ka
ik rut aa.e ik jaa.e
ham rut rut chauñkeñ
karvaT badleñ so jaa.eñ
ma.asūm gulāb phuvāreñ
be-lafz tahayyur
bādal chamkīle safīne
maidāñ Thahrā huā paanī
saa.e vo jazīre dhānī
ujlī shādābī āñkheñ
bhauñrā to hañsī favvāra
phir dhuul dhueñ kā parda
aanā jaanā chauñkānā
ik khel rutoñ kā
apnī nazroñ se ojhal
ik sayyāra dil apnā
anjāne kohar meñ Duubā
uryāñ pur-nam kā
shaffāf raqīq ujālā
vo ghulte pighalte khañDar
vo sannāTā is meñ pighaltā
dekhā to qalam bhī apnā
ik din pighlā pighlā thā
sherā sherā shāyad ik
taa.ir thā jo chahkārā
dhuñdle dhuñdle ġhāroñ meñ
vo ghūmte phirte raste
āvāz ke lahre ko phir
bāhar le aa.e
tapte sūraj ke nīche
sūraj ke nīche jharnā
hamhama na thamne vaalā
raushan paanī kā
bauchhār kā shor havā meñ
uḌtī huī jagmag ThanDī
sīmābī chhalkī chhalkī
sūraj ke nīche jharnā
kirnoñ ke liye ā.īna
patthar ke sarāpā
un kī
patthar ḳhāmoshī
ik chaknā-chūr chhanākā
shīshe kā zarf thā koī
kāfir kāfir sargoshī
barham sargarm havā kī
kāfir kāfir vo guchchhe
phūloñ ke phūloñ ke ḳhazāne
ūñchī shāḳhoñ se jhukā.e
kis ne
kiyā tanhā tum ne
kāfir kāfir sargoshī
bāteñ aur kitnī bāteñ
jaarī thiiñ kitne mausam
badle kitnī taqdīreñ
tahrīreñ un ke ubharne
miTne meñ apnā ubharnā
miTnā
miTte miTte bhī
ham faa.iq sab se kahnā
kah kar khil uThnā
ab ik sapnā lagtā hai
rut kājal pighlā pighlā
rut gahrā jal bisrāvā
ik ḳhāk-basar āñgan se
ugtā huā taarā naġhma
jiine kā javāz hai kis kā
apnā nahīñ phir bhī kitnā
apnā lagtā hai
is par sar dhunte dhunte
miT jaa.e yaad na aa.e
pairāya mā-o-shumā kā
ye kaun sī rut hai
kis se
pūchheñ
kyā naam hai is kā
ek rut aae ek jae
hum rut rut chaunken
karwaT badlen so jaen
masum gulab phuwaren
be-lafz tahayyur
baadal chamkile safine
maidan Thahra hua pani
sae wo jazire dhani
ujli shadabi aankhen
bhaunra to hansi fawwara
phir dhul dhuen ka parda
aana jaana chaunkana
ek khel ruton ka
apni nazron se ojhal
ek sayyara dil apna
anjaane kohar mein Duba
uryan pur-nam ka
shaffaf raqiq ujala
wo ghulte pighalte khanDar
wo sannaTa is mein pighalta
dekha to qalam bhi apna
ek din pighla pighla tha
shera shera shayad ek
tair tha jo chahkara
dhundle dhundle ghaaron mein
wo ghumte phirte raste
aawaz ke lahre ko phir
bahar le aae
tapte suraj ke niche
suraj ke niche jharna
hamhama na thamne wala
raushan pani ka
bauchhaar ka shor hawa mein
uDti hui jagmag ThanDi
simabi chhalki chhalki
suraj ke niche jharna
kirnon ke liye aaina
patthar ke sarapa
un ki
patthar KHamoshi
ek chakna-chur chhanaka
shishe ka zarf tha koi
kafir kafir sargoshi
barham sargarm hawa ki
kafir kafir wo guchchhe
phulon ke phulon ke KHazane
unchi shaKHon se jhukae
kis ne
kiya tanha tum ne
kafir kafir sargoshi
baaten aur kitni baaten
jari thin kitne mausam
badle kitni taqdiren
tahriren un ke ubharne
miTne mein apna ubharna
miTna
miTte miTte bhi
hum faiq sab se kahna
kah kar khil uThna
ab ek sapna lagta hai
rut kajal pighla pighla
rut gahra jal bisrawa
ek KHak-basar aangan se
ugta hua tara naghma
jine ka jawaz hai kis ka
apna nahin phir bhi kitna
apna lagta hai
is par sar dhunte dhunte
miT jae yaad na aae
pairaya ma-o-shuma ka
ye kaun si rut hai
kis se
puchhen
kya nam hai is ka
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 27)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.