khel
yā-rab tire bandoñ se qazā khel rahī hai
ik khel ba-unvān-e-daġhā khel rahī hai
jis khel ko sarsar ne bhī khelā na chaman meñ
us khel ko ab bād-e-sabā khel rahī hai
uljhe hue hālāt ke tevar haiñ ḳhatarnāk
badle hue mausam kī havā khel rahī hai
rindān-e-tahī-dast sazā-vār-e-subū haiñ!
TuuTī huī tauba se ghaTā khel rahī hai
laġhzīda qadam izn-e-ḳhirad maañg rahe haiñ
duzdīda nigāhoñ meñ hayā khel rahī hai
aurañg-e-shahī hech hai rindoñ kī nazar meñ
mahloñ kī bulandī pe qazā khel rahī hai
ehrām se jubbe se musalle se abā se
'shorish' mirī be-ḳhauf navā khel rahī hai
ya-rab tere bandon se qaza khel rahi hai
ek khel ba-unwan-e-dagha khel rahi hai
jis khel ko sarsar ne bhi khela na chaman mein
us khel ko ab baad-e-saba khel rahi hai
uljhe hue haalat ke tewar hain KHatarnak
badle hue mausam ki hawa khel rahi hai
rindan-e-tahi-dast saza-war-e-subu hain!
TuTi hui tauba se ghaTa khel rahi hai
laghzida qadam izn-e-KHirad mang rahe hain
duzdida nigahon mein haya khel rahi hai
aurang-e-shahi hech hai rindon ki nazar mein
mahlon ki bulandi pe qaza khel rahi hai
ehram se jubbe se musalle se aba se
'shorish' meri be-KHauf nawa khel rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.