KHidmat-e-watan
vatan kī ḳhidmat-e-be-laus hai har shaḳhs par lāzim
yahī vo kaam hai jo aadmī ke kaam aatā hai
lagā dī jaatī hai hubb-e-vatan meñ sar kī baazī bhī
ik aisā bhī vufūr-e-josh meñ hangām aatā hai
palaTne hī ko hai qismat tumhārī ai vatan vaalo
tumhāre vāste ye arsh se paiġhām aatā hai
ġhulāmī duur hotī hai tumhārī ab koī dam meñ
hukūmat aur sardārī kā phir hangām aatā hai
musībat hai ye bilkul aarzī is par na ghabrānā
bas ab aatā hai ahd-e-rāhat-o-ārām aatā hai
vahī phir bazm hogī phir vahī rangīniyāñ hoñgī
vahī paimāna aatā hai vahī phir jaam aatā hai
tum apnī nā-tavānī se pareshāñ is qadar kyoñ ho
kabhī kamzor honā bhī bashar ke kaam aatā hai
miTā detā hai dam meñ naḳhvat-e-namrūd ik machchhar
kabhī aisā bhī daur-e-gardish-e-ayyām aatā hai
ḳhudārā is nizā-e-bāhamī ko ḳhatm farmā do
zarā socho ki tum par kis qadar ilzām aatā hai
kabhī chhiḌtā hai gar mazkūr qaumoñ kī jahālat kā
to sab se pahle kānoñ meñ tumhārā naam aatā hai
ye nukta yaad rakkho us ko bhūlā kah nahīñ sakte
jo vaqt-e-sub.h jā kar ghar pe vaqt-e-shām aatā hai
watan ki KHidmat-e-be-laus hai har shaKHs par lazim
yahi wo kaam hai jo aadmi ke kaam aata hai
laga di jati hai hubb-e-watan mein sar ki bazi bhi
ek aisa bhi wufur-e-josh mein hangam aata hai
palaTne hi ko hai qismat tumhaari ai watan walo
tumhaare waste ye arsh se paigham aata hai
ghulami dur hoti hai tumhaari ab koi dam mein
hukumat aur sardari ka phir hangam aata hai
musibat hai ye bilkul aarzi is par na ghabrana
bas ab aata hai ahd-e-rahat-o-aram aata hai
wahi phir bazm hogi phir wahi ranginiyan hongi
wahi paimana aata hai wahi phir jam aata hai
tum apni na-tawani se pareshan is qadar kyon ho
kabhi kamzor hona bhi bashar ke kaam aata hai
miTa deta hai dam mein naKHwat-e-namrud ek machchhar
kabhi aisa bhi daur-e-gardish-e-ayyam aata hai
KHudara is niza-e-bahami ko KHatm farma do
zara socho ki tum par kis qadar ilzam aata hai
kabhi chhiDta hai gar mazkur qaumon ki jahaalat ka
to sab se pahle kanon mein tumhaara nam aata hai
ye nukta yaad rakkho us ko bhula kah nahin sakte
jo waqt-e-subh ja kar ghar pe waqt-e-sham aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.