khilauna
der se ek nā-samajh bachcha
ik khilaune ke TuuT jaane par
is tarah se udaas baiThā hai
jaise mayyat qarīb rakkhī ho
aur marne ke ba.ad har har baat
marne vaale kī yaad aatī ho
jaane kyā kyā zarā tavaqquf se
soch letā hai aur rotā hai
lekin itnī ḳhabar kahāñ us ko
zindagī ke ajiib hāthoñ meñ
ye bhī miTTī kā ik khilaunā hai
der se ek na-samajh bachcha
ek khilaune ke TuT jaane par
is tarah se udas baiTha hai
jaise mayyat qarib rakkhi ho
aur marne ke baad har har baat
marne wale ki yaad aati ho
jaane kya kya zara tawaqquf se
soch leta hai aur rota hai
lekin itni KHabar kahan us ko
zindagi ke ajib hathon mein
ye bhi miTTi ka ek khilauna hai
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 36)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.