khilaune
motor dauḌ lagātī hai
chhuk chhuk gaaḌī aatī hai
top se aag nikaltī hai
plane meñ battī jaltī hai
guḌiyā āñhkeñ kholtī hai
aage pīchhe Doltī hai
murġhī anDe detī hai
chiḌiyā daane letī hai
kuttā baajā suntā hai
uuñT khaḌā sar dhuntā hai
bandar band bajātā hai
hāthī suuñD nachātā hai
bhālū daarū piitā hai
gaa.e ke uupar chītā hai
saare khilaune haiñ lekin
ye sab sachche lagte haiñ
aur khilaune jaise to
apne bachche lagte haiñ
motor dauD lagati hai
chhuk chhuk gaDi aati hai
top se aag nikalti hai
plane mein batti jalti hai
guDiya aanhken kholti hai
aage pichhe Dolti hai
murghi anDe deti hai
chiDiya dane leti hai
kutta baja sunta hai
unT khaDa sar dhunta hai
bandar band bajata hai
hathi sunD nachata hai
bhaalu daru pita hai
gae ke upar chita hai
sare khilaune hain lekin
ye sab sachche lagte hain
aur khilaune jaise to
apne bachche lagte hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 141)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.