khilaune
(tīsrī duniyā ke tamām logoñ ke naam)
ajab hādsa hai
ki bachpan meñ ham jin khilaunoñ se khele the
ab vo khilaune
hamāre hī hālāt se khelte haiñ
vo nāzuk mujassame
vo rañgīn guḌiyā.eñ
tayyāre pistol
faujī sipāhī
kabhī jo hamāre ishāroñ ke mohtāj the
āfrīñ tujh pe meyār-e-gardish
ki ab vo khilaune
hameñ chābiyāñ bhar rahe haiñ
hamāre maveshī hamāre hī bāġhāt ko char rahe haiñ
khilaunoñ ke is khel meñ
ham to yuuñ kho ga.e haiñ
ki har kaam kī ham se ummīd rakh lo
agar koī taqve kī chābī ghumā de
to dāḌhī baḌhā leñ
agar koī thoḌī sī qīmat lagā kar
kisī shaḳhs kā ghar batā de
to agle hī pal meñ us kī gardan uḌā deñ
hamārā hai kyā
ham to andhe muazzin haiñ
baazū pakaḌ ke jo garje meñ le jāoge
to bhī maryam kī tasvīr ke sāmne
uñgliyāñ kaan meñ Thūñs leñge
hamārā hai kyā
ham to patthar kī vo mūrtī haiñ
jise chāhe sajda karo
yā tamāchā lagā do
magar vo to hāthoñ se chhātī chhupā.e
sadā muskurātī rahegī
(tisri duniya ke tamam logon ke nam)
ajab hadsa hai
ki bachpan mein hum jin khilaunon se khele the
ab wo khilaune
hamare hi haalat se khelte hain
wo nazuk mujassame
wo rangin guDiyaen
tayyare pistol
fauji sipahi
kabhi jo hamare ishaaron ke mohtaj the
aafrin tujh pe meyar-e-gardish
ki ab wo khilaune
hamein chabiyan bhar rahe hain
hamare maweshi hamare hi baghat ko char rahe hain
khilaunon ke is khel mein
hum to yun kho gae hain
ki har kaam ki hum se ummid rakh lo
agar koi taqwe ki chabi ghuma de
to daDhi baDha len
agar koi thoDi si qimat laga kar
kisi shaKHs ka ghar bata de
to agle hi pal mein us ki gardan uDa den
hamara hai kya
hum to andhe muazzin hain
bazu pakaD ke jo garje mein le jaoge
to bhi maryam ki taswir ke samne
ungliyan kan mein Thuns lenge
hamara hai kya
hum to patthar ki wo murti hain
jise chahe sajda karo
ya tamacha laga do
magar wo to hathon se chhati chhupae
sada muskuraati rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.