KHizan
jhiil ke paanī meñ lahreñ uTh rahī haiñ
ek pattā gir chukā hai
ek pattā gir rahā hai
aur thake-māñde musāfir
be-ḳhabar is raaz se haiñ
tāzgī qadmoñ ko jis kī chhāñv se miltī rahī hai
rāste kā vo muqaddas peḌ nangā ho rahā hai
jhil ke pani mein lahren uTh rahi hain
ek patta gir chuka hai
ek patta gir raha hai
aur thake-mande musafir
be-KHabar is raaz se hain
tazgi qadmon ko jis ki chhanw se milti rahi hai
raste ka wo muqaddas peD nanga ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.