KHizan ka mausam
zavāl par thī bahār kī rut
ḳhizāñ kā mausam uruuj par thā
udāsiyāñ thiiñ har ek shai par
chaman se shādābiyāñ ḳhafā thiiñ
un hī dinoñ meñ thī maiñ bhī tanhā
udāsī mujh ko bhī Das rahī thī
vo girte pattoñ kī sūkhī aahaT
ye sahrā sahrā bikhartī hālat
hamī ko merī kuchal rahī thī
maiñ lamha lamha sulag rahī thī
mujhe ye irfān ho gayā thā
haqīqat apnī bhī khul rahī thī
ki zaat apnī hai yuuñ hī faanī
jo ek jhaTkā ḳhizāñ kā aa.e
to zindagī kā shajar bhī is pul
ḳhamosh-o-tanhā khaḌā milegā
mizāj aur ḳhush-ravī ke patte
diloñ meñ logoñ ke misl-e-sahrā
phireñge maare ye yaad ban kar
kuchh hī dinoñ tak
magar muqaddar hai un kā faanī
ke laakh patte ye shor kar leñ
mizāj meñ sar-kashī bhī rakh leñ
yā girya kar leñ udaas ho leñ
to farq use ye bas paḌegā
zamīn un ko sameT legī
zarā sī phir ye jagah bhī degī
karishma qudrat kā hai ye aisā
uruuj par hai zavāl apnā
har ek ko hai palaT ke jaanā
zawal par thi bahaar ki rut
KHizan ka mausam uruj par tha
udasiyan thin har ek shai par
chaman se shadabiyan KHafa thin
un hi dinon mein thi main bhi tanha
udasi mujh ko bhi Das rahi thi
wo girte patton ki sukhi aahaT
ye sahra sahra bikharti haalat
hami ko meri kuchal rahi thi
main lamha lamha sulag rahi thi
mujhe ye irfan ho gaya tha
haqiqat apni bhi khul rahi thi
ki zat apni hai yun hi fani
jo ek jhaTka KHizan ka aae
to zindagi ka shajar bhi is pul
KHamosh-o-tanha khaDa milega
mizaj aur KHush-rawi ke patte
dilon mein logon ke misl-e-sahra
phirenge mare ye yaad ban kar
kuchh hi dinon tak
magar muqaddar hai un ka fani
ke lakh patte ye shor kar len
mizaj mein sar-kashi bhi rakh len
ya girya kar len udas ho len
to farq use ye bas paDega
zamin un ko sameT legi
zara si phir ye jagah bhi degi
karishma qudrat ka hai ye aisa
uruj par hai zawal apna
har ek ko hai palaT ke jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.