KHizan mein chini chae ki dawat
aao lawn meñ baiTheñ
shaam kā sūraj dekheñ
zard ḳhizāñ kī sargam se
jī ko bahlā.eñ
jañgal ko ik giit sunā.īñ
surḳh sunahre
peḌ se girte
dard ke patte
haath meñ le kar
un kī rekhāoñ ko dekheñ
pattoñ ko chuTkī meñ ghumā.eñ
apne apne haath kī donoñ paḌheñ lakīreñ
ik duuje kī āñkhoñ kī gahrā.ī meñ utreñ
phuul saje haiñ jo gul-dān meñ mez ke uupar
un ko chūmeñ
duudh ke jaise ujle cupoñ meñ
ketlī se tum chaa.e unDelo
binā shakar aur binā duudh kī chaa.e sunahrī
achchhī lagtī hai jab pyaar kī baat kareñ
maazī ke qisse dohrā.eñ
hañste hañste āñkhoñ meñ aañsū aa jaa.eñ
in bātoñ se chaa.e mīThī ho jaatī hai
aao lawn meñ baiTheñ
chīnī chaa.e piyeñ ham
aao lawn mein baiThen
sham ka suraj dekhen
zard KHizan ki sargam se
ji ko bahlaen
jangal ko ek git sunain
surKH sunahre
peD se girte
dard ke patte
hath mein le kar
un ki rekhaon ko dekhen
patton ko chuTki mein ghumaen
apne apne hath ki donon paDhen lakiren
ek duje ki aankhon ki gahrai mein utren
phul saje hain jo gul-dan mein mez ke upar
un ko chumen
dudh ke jaise ujle cupon mein
ketli se tum chae unDelo
bina shakar aur bina dudh ki chae sunahri
achchhi lagti hai jab pyar ki baat karen
mazi ke qisse dohraen
hanste hanste aankhon mein aansu aa jaen
in baaton se chae miThi ho jati hai
aao lawn mein baiThen
chini chae piyen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.