KHizan phir aa gai kya
ḳhizāñ kī ibtidā se intihā tak
saarā mausam hī ḳhizāñ hai
guzarte jā rahe haiñ jitne lamhe sab ḳhizāñ haiñ
magar vo nīm-jāñ patta
jise pahlī hī purvā.ī ke pahle sard jhoñke ne
sameTā hai
na.e ik TūTte patte se sargoshī meñ kahtā hai
ḳhizāñ to jā chukī thī
KHizan ki ibtida se intiha tak
sara mausam hi KHizan hai
guzarte ja rahe hain jitne lamhe sab KHizan hain
magar wo nim-jaan patta
jise pahli hi purwai ke pahle sard jhonke ne
sameTa hai
nae ek TuTte patte se sargoshi mein kahta hai
KHizan to ja chuki thi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 432)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.