khoi khoi raat
nigāhoñ se ojhal raho tum
hazāroñ pardoñ ke pīchhe ġhā.eb ho jaao
aur dil meñ
aisā sannāTā chhā jaa.e
jaisā janāza nikalne ke baad
kisī ghar meñ hotā hai
lekin na jaane kyā hai
ki jab ḳhvāb aur bedārī ke darmiyān
khoī khoī sī
alam-nāk bojhal raat
ḳhatm hone ke qarīb aatī hai
aur bechainī ḳhud
thakī haarī be-hoshī ke
gale meñ bāheñ Daal kar
so jaatī hai
unhīñ
bhor ke adh-jage adh-so.e
dhuñdlakoñ meñ
aisā lagtā hai
ki merī band
aañsū bharī
DabDabā.ī āñkhoñ ko
kisī ne halke se chuum liyā
nigahon se ojhal raho tum
hazaron pardon ke pichhe ghaeb ho jao
aur dil mein
aisa sannaTa chha jae
jaisa janaza nikalne ke baad
kisi ghar mein hota hai
lekin na jaane kya hai
ki jab KHwab aur bedari ke darmiyan
khoi khoi si
alam-nak bojhal raat
KHatm hone ke qarib aati hai
aur bechaini KHud
thaki haari be-hoshi ke
gale mein bahen Dal kar
so jati hai
unhin
bhor ke adh-jage adh-soe
dhundlakon mein
aisa lagta hai
ki meri band
aansu bhari
DabDabai aankhon ko
kisi ne halke se chum liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.