KHud-farebi
barsoñ baad achānak phir se
mere dil ke darvāze par
dastak dene kaun aaya hai
lams nahīñ hai un hāthoñ kā
khaT khaT kī vo sadā nahīñ hai
ḳhushbū bhī anjānī sī hai
yā phir mere vahm kā saaya
ahd-e-guzishta kī yādoñ ko
le kar apne saath aaya hai
mujh se milne tanhā.ī meñ
barson baad achanak phir se
mere dil ke darwaze par
dastak dene kaun aaya hai
lams nahin hai un hathon ka
khaT khaT ki wo sada nahin hai
KHushbu bhi anjaani si hai
ya phir mere wahm ka saya
ahd-e-guzishta ki yaadon ko
le kar apne sath aaya hai
mujh se milne tanhai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.