KHud-farebi
ek safar dard kā
lai ke saath aayā thā
Dūbtī kashtiyāñ
sabz peḌoñ pe baiThī huī zardiyāñ
ek suunā sā ghar
jis ke chāroñ taraf
gahrī tārīkiyāñ dauḌtīñ
dūsrī samt meñ
ik mahal
lawn meñ phūloñ par
baiThtī titliyāñ
maiñ ye sab dekh kar
baḌh gayā be-tarah un kī jānib magar
chhū ke dekhā to sab
ret kā Dher thā
ek safar dard ka
lai ke sath aaya tha
Dubti kashtiyan
sabz peDon pe baiThi hui zardiyan
ek suna sa ghar
jis ke chaaron taraf
gahri tarikiyan dauDtin
dusri samt mein
ek mahal
lawn mein phulon par
baiThti titliyan
main ye sab dekh kar
baDh gaya be-tarah un ki jaanib magar
chhu ke dekha to sab
ret ka Dher tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.