KHud-farebi
kab tak
apnī āñkheñ jhukā kar chaltī rahogī
kab tak
apne dil ke darvāze par dastak na dogī
kab tak
apnī palkoñ par jhūTe ḳhvāb sajā.e rakkhogī
bolo kab tak
āḳhir kab tak
hādsoñ ko taqdīr samajh kar
chupke chupke ehsāsāt kī aag meñ āThoñ pahar jaltī rahogī
apne taaza zaḳhmoñ par hañs hañs kar muskurātī rahogī
kyā sadiyoñ tak yūñhī hotā rahegā
bolo kab tak
ab to bolo
kab tak
apne aap ko dhokā detī rahogī
kab tak
apni aankhen jhuka kar chalti rahogi
kab tak
apne dil ke darwaze par dastak na dogi
kab tak
apni palkon par jhuTe KHwab sajae rakkhogi
bolo kab tak
aaKHir kab tak
hadson ko taqdir samajh kar
chupke chupke ehsasat ki aag mein aaThon pahar jalti rahogi
apne taza zaKHmon par hans hans kar muskuraati rahogi
kya sadiyon tak yunhi hota rahega
bolo kab tak
ab to bolo
kab tak
apne aap ko dhoka deti rahogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.