KHud-kar janaza
maiñ apne janāze meñ
ḳhud bhī sharīk thā
log aa.e
jūq-dar-jūq
log aa.e
saje sajā.e
log aa.e
ḳhud ko manvāne
sirf ye batlāne
ki vo abhī zinda haiñ
bain bhī thā
ḳhushī bhī thī
maiñ jab bhī tanhā thā
ab bhī tanhā huuñ
lā-ta.alluqī kī sūrat
main apne janaze mein
KHud bhi sharik tha
log aae
juq-dar-juq
log aae
saje sajae
log aae
KHud ko manwane
sirf ye batlane
ki wo abhi zinda hain
bain bhi tha
KHushi bhi thi
main jab bhi tanha tha
ab bhi tanha hun
la-talluqi ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.