KHud-kalami
mere ruḳhsār pe
jo halkī halkī jhuriyāñ aa ga.ī haiñ
yaqīnan us ko bhī aa ga.ī hogī
zindagī ke safar meñ
umr ke jis Dhalān par maiñ khaḌā huuñ
yaqīnan vo bhī vahīñ aa gayā hogā
roz-o-shab ke madd-o-jazr
ranj-o-ġham āñsū-o-ḳhushī
sard garm sub.h-o-shām se ulajhte hue
chaḌhtī umr kā vo chulbulā-pan jo ab sanjīdgī meñ Dhal chukā hai
ain-mumkin hai us ke bhī mizāj kā hissa hogā
haañ ye mumkin hai
ġhair-mutavaqqe taur pe
sar-e-rāh agar tum kahīñ
kabhī mil bhī jaao to
tumheñ pahchānñā mushkil bhī hogā
magar merā dil mujh se kah rahā hai
mujhe bahlā rahā hai
tum ek roz mujh se miloge
aur zarūr miloge
mere ruKHsar pe
jo halki halki jhuriyan aa gai hain
yaqinan us ko bhi aa gai hogi
zindagi ke safar mein
umr ke jis Dhalan par main khaDa hun
yaqinan wo bhi wahin aa gaya hoga
roz-o-shab ke madd-o-jazr
ranj-o-gham aansu-o-KHushi
sard garm subh-o-sham se ulajhte hue
chaDhti umr ka wo chulbula-pan jo ab sanjidgi mein Dhal chuka hai
ain-mumkin hai us ke bhi mizaj ka hissa hoga
han ye mumkin hai
ghair-mutawaqqe taur pe
sar-e-rah agar tum kahin
kabhi mil bhi jao to
tumhein pahchanna mushkil bhi hoga
magar mera dil mujh se kah raha hai
mujhe bahla raha hai
tum ek roz mujh se miloge
aur zarur miloge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.