KHud-kalami
kyā zarūrī hai ki ham phone pe bāteñ bhī kareñ
kyā zarūrī hai ki har lafz mahakne bhī lage
kyā zarūrī hai ki har zaḳhm se ḳhushbū aa.e
kyā zarūrī hai vafādār raheñ ham donoñ
kyā zarūrī hai davā saarī asar kar jaa.e
kyā zarūrī hai ki har ḳhvāb ham achchhā dekheñ
kyā zarūrī hai ki jo chāheñ vahī ho jaa.e
kyā zarūrī hai ki mausam ho hamārā sāthī
kyā zarūrī hai safar meñ kahīñ saaya bhī mile
kyā zarūrī hai tabassum yūñhī maujūd rahe
kyā zarūrī hai har ik raah meñ jugnū chamkīñ
kyā zarūrī hai ki ashkoñ ko ravānī bhī mile
kyā zarūrī hai ki milnā hī muqaddar Thahre
kyā zarūrī hai ki har roz mileñ ham donoñ
ham jahāñ gaañv basā.eñ vahāñ ik jhiil bhī ho
kyā zarūrī hai mohabbat tirī takmīl bhī ho
kya zaruri hai ki hum phone pe baaten bhi karen
kya zaruri hai ki har lafz mahakne bhi lage
kya zaruri hai ki har zaKHm se KHushbu aae
kya zaruri hai wafadar rahen hum donon
kya zaruri hai dawa sari asar kar jae
kya zaruri hai ki har KHwab hum achchha dekhen
kya zaruri hai ki jo chahen wahi ho jae
kya zaruri hai ki mausam ho hamara sathi
kya zaruri hai safar mein kahin saya bhi mile
kya zaruri hai tabassum yunhi maujud rahe
kya zaruri hai har ek rah mein jugnu chamkin
kya zaruri hai ki ashkon ko rawani bhi mile
kya zaruri hai ki milna hi muqaddar Thahre
kya zaruri hai ki har roz milen hum donon
hum jahan ganw basaen wahan ek jhil bhi ho
kya zaruri hai mohabbat teri takmil bhi ho
- Book : Shahdaba (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.