KHud-kashi
zamīñ ab chalte chalte thak chukī hai
samundar ḳhushk hotā jā rahā hai
falak bhī kitnā būḌhā ho chukā hai
sitāre raushnī khone lage haiñ
ye sayyāre jo gardish kar rahe haiñ
ye sayyāre zamīñ par aa ga.e haiñ
bikhar jā.egā ye shīrāza ik din
sabhī zī-rūh saare jānvar insāñ
ye ik ik saañs māñgeñge zamīñ par
bigaḌ jā.egā jis din bhī tavāzun
hamārī kā.enāt-e-rañg-o-bū kā
zamīñ par husn-e-fitrat ko na kuchlo
ye puurī nasl aadam ke liye ik ḳhud-kushī hai
zamin ab chalte chalte thak chuki hai
samundar KHushk hota ja raha hai
falak bhi kitna buDha ho chuka hai
sitare raushni khone lage hain
ye sayyare jo gardish kar rahe hain
ye sayyare zamin par aa gae hain
bikhar jaega ye shiraaza ek din
sabhi zi-ruh sare jaanwar insan
ye ek ek sans mangenge zamin par
bigaD jaega jis din bhi tawazun
hamari kaenat-e-rang-o-bu ka
zamin par husn-e-fitrat ko na kuchlo
ye puri nasl aadam ke liye ek KHud-kushi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.