bas ik lamhe kā jhagḌā thā
dar-o-dīvār par aise chhanāke se girī āvāz jaise kāñch girtā hai
har ik shai meñ ga.iiñ uḌtī huii, jaltī huī kircheñ
nazar meñ, baat meñ lahje meñ, soch aur saañs ke andar
lahū honā thā ik rishte kā so vo ho gayā us din!!
usī āvāz ke TukḌe uThā ke farsh se us shab
kisī ne kaaT liiñ nabzeñ
na kī āvāz tak kuchh bhī
ki koī jaag na jaa.e!
bas ek lamhe ka jhagDa tha
dar-o-diwar par aise chhanake se giri aawaz jaise kanch girta hai
har ek shai mein gain uDti hui, jalti hui kirchen
nazar mein, baat mein lahje mein, soch aur sans ke andar
lahu hona tha ek rishte ka so wo ho gaya us din!!
usi aawaz ke TukDe uTha ke farsh se us shab
kisi ne kaT lin nabzen
na ki aawaz tak kuchh bhi
ki koi jag na jae!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.