KHud-kushi ka alamiya
motor ke pahiye bijlī ke khambe pe chand chhīñTe kuchh
chiknī saḌak pe duur tak ik surḳh sī lakīr
fōtpath pe kuchh jā-ba-jā dhabbe siyāh o surḳh
naalī ke gadle paanī ke siine pe chand daaġh
baundary-wall par bhī kuchh spot khurdure
chehroñ pe rāhgīroñ ke nā-ḳhush-gavār naqsh
māhaul meñ ik lamha ko be-nām sā tanāv
āñkheñ mirī ubal paḌīñ hairān rah gayā
goyā ki aaj tak kā kiyā rā.egāñ gayā
dariyā agar nahīñ to ravāñ jū-e-ḳhūñ sahī
motor ke pahiye bijli ke khambe pe chand chhinTe kuchh
chikni saDak pe dur tak ek surKH si lakir
footpath pe kuchh ja-ba-ja dhabbe siyah o surKH
nali ke gadle pani ke sine pe chand dagh
baundary-wall par bhi kuchh spot khurdure
chehron pe rahgiron ke na-KHush-gawar naqsh
mahaul mein ek lamha ko be-nam sa tanaw
aankhen meri ubal paDin hairan rah gaya
goya ki aaj tak ka kiya raegan gaya
dariya agar nahin to rawan ju-e-KHun sahi
- Book : shab khuun (45) (rekhta website) (Pg. 64)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.