KHud-kushi
kal merī likhī ik nazm
ne ḳhud-kushī kar lī
jise arse pahle maiñ ne likhā thā
na jaane kyoñ
shāyad nārāz thī mujh se
ka.ī arse se qaid thī
diary ke safhoñ meñ kahīñ
gumnām sī ho chukī thī vo
mujhe bhī is baat kā ġham hai
maiñ ne us kā ḳhayāl kyoñ nahīñ kiyā
ka.ī martaba sochtā to thā
zikr bhī kartā thā apnoñ se
phir aglī hī dafa
jab suntā thā kuchh english gaane
zehn se utar jaatā thā us tanhā nazm kā ḳhayāl
kal meri likhi ek nazm
ne KHud-kushi kar li
jise arse pahle main ne likha tha
na jaane kyon
shayad naraaz thi mujh se
kai arse se qaid thi
diary ke safhon mein kahin
gumnam si ho chuki thi wo
mujhe bhi is baat ka gham hai
main ne us ka KHayal kyon nahin kiya
kai martaba sochta to tha
zikr bhi karta tha apnon se
phir agli hi dafa
jab sunta tha kuchh english gane
zehn se utar jata tha us tanha nazm ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.