Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-kushi karne ka agla mansuba

Sidra Sahar Imran

KHud-kushi karne ka agla mansuba

Sidra Sahar Imran

MORE BYSidra Sahar Imran

    tai huī thī ek mulāqāt railway-Track par

    lekin rail-gāḌī engine musalsal khāñstā rahā

    platform number āḳhirī par

    aur phañs ga.e musāfir ek dūsre gāliyoñ meñ

    so yak-tarfa rahī mulāqāt

    khiḌkī se bāhar pukār rahā thā āsmān

    magar chiTḳhinī aur frame ne jakaḌ liyā

    ek dūsre haath

    aur habs baḌhtā gayā

    logoñ āmad-o-raft ke saath

    chūlhe se der tak aatī rahīñ

    dhunkī huī āvāzeñ

    aur rañgīn chehre vaalī news-caster ne

    dohrā.ī vahī baasī ḳhabar

    ki sardī shiddat ke baa.is

    mahñgī ho ga.ī hai aag

    is liye parhez kiyā jaa.e aurteñ jalāne se

    pul par izhdihām thā traffic

    lekin kisī hādse ko dikhā.ī nahīñ

    hamārī sūrat

    aur ham nīche utar aa.e chor darvāze se

    dariyā ko ḳhālī dekh kar

    apnī mī.ād puurī kar chukī thiiñ

    niiñd tamām davā.eñ

    is liye zabt kar ga.iiñ

    aur ḳhālī stores meñ tāliyāñ pīTtī rahīñ

    sar-dard be-asar goliyāñ

    mumkin hai phir se muntazir ho izrā.īl

    railway-track par

    lekin ham sastī kitāboñ ke ambār se

    talāsh kar chuke haiñ

    maut ke manzar ke ba.ad

    likhe jaane vaalā qīmtī nusḳha

    tai hui thi ek mulaqat railway-Track par

    lekin rail-gaDi ka engine musalsal khansta raha

    platform number aaKHiri par

    aur phans gae musafir ek dusre ki galiyon mein

    so yak-tarfa rahi mulaqat

    khiDki se bahar pukar raha tha aasman

    magar chiTKHini aur frame ne jakaD liya

    ek dusre ka hath

    aur habs baDhta gaya

    logon ki aamad-o-raft ke sath

    chulhe se der tak aati rahin

    dhunki hui aawazen

    aur rangin chehre wali news-caster ne

    dohrai wahi basi KHabar

    ki sardi ki shiddat ke bais

    mahngi ho gai hai aag

    is liye parhez kiya jae aurten jalane se

    pul par izhdiham tha traffic ka

    lekin kisi hadse ko dikhai nahin di

    hamari surat

    aur hum niche utar aae chor darwaze se

    dariya ko KHali dekh kar

    apni miad puri kar chuki thin

    nind ki tamam dawaen

    is liye zabt kar li gain

    aur KHali stores mein taliyan piTti rahin

    sar-dard ki be-asar goliyan

    mumkin hai phir se muntazir ho izrail

    railway-track par

    lekin hum sasti kitabon ke ambar se

    talash kar chuke hain

    maut ke manzar ke baad

    likhe jaane wala qimti nusKHa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now