KHud-kushi
qatl to ye nahīñ
ḳhud-kushī hai
āftāb apne ḳhūñ-rez jazbāt kī zarb-kārī se
jaan de ke
ġharbī ufuq ke pare dafn hai
aur ik ḳhud-kushī dekh lo
maiñ bhī apne tahammul kī ġhalat-koshiyoñ kā huuñ maarā huā
mujh ko apne hī hāthoñ se khodī huī
qabr meñ dafn kar do mire dosto
qatl to ye nahin
KHud-kushi hai
aaftab apne KHun-rez jazbaat ki zarb-kari se
jaan de ke
gharbi ufuq ke pare dafn hai
aur ek KHud-kushi dekh lo
main bhi apne tahammul ki ghalat-koshiyon ka hun mara hua
mujh ko apne hi hathon se khodi hui
qabr mein dafn kar do mere dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.