KHud ruswa
mere dil meñ ugtī pyaar kī fasl ko
jab logoñ kī nafrat ke fuzle kī khaad milī
to siTe chamak kar sonā ho ga.e
phir vahī fasl kāTne kā vaqt aayā to mere ḳhulūs kī darāñtī kund ho ga.ī
aur dil shikam ke āñsūoñ se bhar aayā
darāñtī ḳhuub chalā.ī ga.ī lekin fasl na kaTī
mere hāthoñ par kīchaḌ lagā huā thā
siTe niile ho chuke the
mohabbat ne ḳhulūs ke saath niyyat ko uThā kar nafrat ke fuzle pe paTaḳh Daalā
aur dard ne mohabbat ke uple naaf par thāpnā shurūa kar diye
mere dil mein ugti pyar ki fasl ko
jab logon ki nafrat ke fuzle ki khad mili
to siTe chamak kar sona ho gae
phir wahi fasl kaTne ka waqt aaya to mere KHulus ki daranti kund ho gai
aur dil shikam ke aansuon se bhar aaya
daranti KHub chalai gai lekin fasl na kaTi
mere hathon par kichaD laga hua tha
siTe nile ho chuke the
mohabbat ne KHulus ke sath niyyat ko uTha kar nafrat ke fuzle pe paTaKH Dala
aur dard ne mohabbat ke uple naf par thapna shurua kar diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.