KHud se milne ki fursat kise thi
apnī pindār kī kirchiyāñ
chun sakūñgī
shikasta uḌānoñ ke TuuTe hue par sameTūñgī
tujh ko badan kī ijāzat se ruḳhsat karūñgī
kabhī apne baare meñ itnī ḳhabar hī na rakkhī thī
varna bichhaḌne kī ye rasm kab kī adā ho chukī hotī
mirā hausla
apne dil par bahut qabl hī munkashif ho gayā hotā
lekin yahāñ
ḳhud se milne kī fursat kise thii!
apni pindar ki kirchiyan
chun sakungi
shikasta uDanon ke TuTe hue par sameTungi
tujh ko badan ki ijazat se ruKHsat karungi
kabhi apne bare mein itni KHabar hi na rakkhi thi
warna bichhaDne ki ye rasm kab ki ada ho chuki hoti
mera hausla
apne dil par bahut qabl hi munkashif ho gaya hota
lekin yahan
KHud se milne ki fursat kise thi!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 222)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.