KHud-shanasi
maiñ añdhere kī phailī huī khā.īyoñ meñ jo gum ho gayā huuñ
to is kī vajah ye nahīñ hai
ki mujh meñ ziyā-bār kirnoñ kā fuqdān hai
yā raushnī kī tamāzat ko sahne kā hāmil nahīñ huuñ
haqīqat to ye hai
jise raushnī kā tum mamba.a samajh kar
azal se tavāf-e-mukarrar meñ masrūf ho
vo tumhāre hī andar kī simTī huī tārīkiyoñ ke sivā kuchh nahīñ hai
aur maiñ....!
maiñ mujassam munavvar-nigāhī kī ḳhvāhish liye
safar meñ rahā huuñ
safar meñ rahūñgā abad tak!!
main andhere ki phaili hui khaiyon mein jo gum ho gaya hun
to is ki wajah ye nahin hai
ki mujh mein ziya-bar kirnon ka fuqdan hai
ya raushni ki tamazat ko sahne ka hamil nahin hun
haqiqat to ye hai
jise raushni ka tum mamba samajh kar
azal se tawaf-e-mukarrar mein masruf ho
wo tumhaare hi andar ki simTi hui tarikiyon ke siwa kuchh nahin hai
aur main!
main mujassam munawwar-nigahi ki KHwahish liye
safar mein raha hun
safar mein rahunga abad tak!!
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 85)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.