KHud-supurdagi
raat bhīge to purāne qisse
pa.e tartīb koī aur sahārā DhūñDeñ
chāñdnī niiñd kā phailā huā jaadū le kar
dil ke be-ḳhvāb nagar meñ utre
aur havā dhuup se baulā.ī huī saḌkoñ par
loriyāñ gaatī nikle
os har phuul ke dāman meñ sitāre bhar de
lekin is ḳhvāb-e-ḳhayālī kā natīja kyā hai
raat kī god mire dard kī manzil to nahīñ
dāman-e-gul pe chamaktī shabnam
loriyāñ detī huī sard havā
chāñdī kī narm sunahrī kirneñ
sab ke sīnoñ meñ utar jā.eñgī
kal ke sūraj kī jhulastī kirneñ
dard phir ḳhāk-ba-sar aa.egā
ḳhvāb kī aañkh meñ simTā huā saarā kājal
ḳhud usī ḳhvāb ke chehre pe bikhar jā.egā
dil ke qissoñ kā muqaddar hai pareshāñ-hālī
pa.e tartīb sahāroñ kā ta.āqub chhoḌo
soch ke baḳht meñ iz.hār kā lamha kab thā
dil-e-nākām sarāboñ kā ta.āqub chhoḌo
sub.h-dam phir vahī putlī kā tamāshā hogā
jāgtī raat ke ḳhvāboñ kā ta.āqub chhoḌo
raat bhige to purane qisse
pae tartib koi aur sahaara DhunDen
chandni nind ka phaila hua jadu le kar
dil ke be-KHwab nagar mein utre
aur hawa dhup se baulai hui saDkon par
loriyan gati nikle
os har phul ke daman mein sitare bhar de
lekin is KHwab-e-KHayali ka natija kya hai
raat ki god mere dard ki manzil to nahin
daman-e-gul pe chamakti shabnam
loriyan deti hui sard hawa
chandi ki narm sunahri kirnen
sab ke sinon mein utar jaengi
kal ke suraj ki jhulasti kirnen
dard phir KHak-ba-sar aaega
KHwab ki aankh mein simTa hua sara kajal
KHud usi KHwab ke chehre pe bikhar jaega
dil ke qisson ka muqaddar hai pareshan-haali
pae tartib sahaaron ka taaqub chhoDo
soch ke baKHt mein izhaar ka lamha kab tha
dil-e-nakaam sarabon ka taaqub chhoDo
subh-dam phir wahi putli ka tamasha hoga
jagti raat ke KHwabon ka taaqub chhoDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.